आचार्य रामचंद्र शुक्ल के कोट्स उद्धरण
- ह्रदय के लिए अतीत एक मुक्ति-लोक है जहाँ वह अनेक प्रकार के बंधनों से छूटा रहता है और अपने शुद्ध रूप में विचरता है।
- भावों का उत्कर्ष दिखाने और वस्तुओं का रूप, गुण और क्रिया का अधिक तीव्र अनुभव कराने में कभी-कभी सहायक होने वाली युक्ति ही अलंकार है।
- ‘अतीत का राग’ एक बहुत ही प्रबल भाव है। उसकी सत्ता का अस्वीकार किसी दशा में हम नहीं कर सकते।अतीत का और हमारा साहचर्य बहुत पुराना है।
- ‘भेदों में अभेद’ दृष्टि ही सच्ची तत्त्व-दृष्टि है।
- हमारा भविष्य जैसे कल्पना के परे दूर तक फैला हुआ है, हमारा अतीत भी उसी प्रकार स्मृति के पार तक विस्तृत है।
- अज्ञान अंधकार-स्वरूप है। दिया बुझाकर भागने वाला यही समझता है कि दूसरे उसे देख नहीं सकते, तो उसे यह भी समझ रखनी चाहिए कि वह ठोकर खाकर गिर भी सकता है।
- वर्तमान हमें अँधा बनाए रहता है, अतीत बीच-बीच में हमारी आँखें खोलता रहता है।
Quote of Acharya Ramchandra Shukla
- Hriday ke liye ateet ek mukti-lok hai jahan vah anek prakaar ke bandhanon se chhuta rehta hai aur apne shuddh roop mein vicharta hai.
- Bhavon ka utkarsh dikhane aur vastuon ka roop, gun aur kriya ka adhik teevr anubhav karane mein kabhi-kabhi sahayak hone wali yukti hi alankar hai.
- ‘Ateet ka raag’ ek bahut hi prabal bhav hai. Uski satta ka asvikar kisi dasha mein hum nahi kar sakte. Ateet ka aur hamara sahacharya bahut purana hai
- ‘Bhedon mein abhed’ drishti hi sachchi tattva-drishti hai.
- Hamara bhavishya jaise kalpana ke pare door tak phaila hua hai, hamara ateet bhi usi prakar smriti ke paar tak vistarit hai.
- Agyan andhkar-swaroop hai. Diya bujhakar bhagne wala yahi samajhta hai ki doosre use dekh nahi sakte, to use yeh bhi samajh rakhni chahiye ki vah thokar khakar gir bhi sakta hai.
- Vartaman humein andha banaye rakhta hai, ateet beech-beech mein hamari aankhein kholta rehta hai.
No comments:
Post a Comment