मिलती है ज़िंदगी में मोहब्बत Milti Hai Zindagi Mein Sahir Ludhiyanvi Ghazal

 मिलती है ज़िंदगी में मोहब्बत कभी कभी
 

मिलती है ज़िंदगी में मोहब्बत कभी कभी
होती है दिलबरों की इनायत कभी कभी

शर्मा के मुँह न फेर नज़र के सवाल पर
लाती है ऐसे मोड़ पे क़िस्मत कभी कभी

खुलते नहीं हैं रोज़ दरीचे बहार के
आती है जान-ए-मन ये क़यामत कभी कभी

तन्हा न कट सकेंगे जवानी के रास्ते
पेश आएगी किसी की ज़रूरत कभी कभी

फिर खो न जाएँ हम कहीं दुनिया की भीड़ में
मिलती है पास आने की मोहलत कभी कभी

miltī hai zindagī meñ mohabbat kabhī kabhī



miltī hai zindagī meñ mohabbat kabhī kabhī
hotī hai dilbaroñ kī ināyat kabhī kabhī

sharmā ke muñh na pher nazar ke savāl par
laatī hai aise moḌ pe qismat kabhī kabhī

khulte nahīñ haiñ roz darīche bahār ke
aatī hai jān-e-man ye qayāmat kabhī kabhī

tanhā na kaT sakeñge javānī ke rāste
pesh aa.egī kisī kī zarūrat kabhī kabhī

phir kho na jaa.eñ ham kahīñ duniyā kī bhiiḌ meñ
miltī hai paas aane kī mohlat kabhī kabhī


Video of milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi ghazal






टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Rajasthani Lokgeet Lyrics in Hindi राजस्थानी लोकगीत लिरिक्स

बुन्देली गारी गीत लोकगीत लिरिक्स Bundeli Gali Geet Lokgeet Lyrics

Amir Khusrow Dohe Kavita अमीर खुसरो के दोहे गीत कविता पहेलियाँ