Sudarshan Faakir Ghazal / सुदर्शन फ़ाकिर की ग़ज़लें
इश्क़ में ग़ैरत-ए-जज़्बात ने रोने न दिया सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
इश्क़ में ग़ैरत-ए-जज़्बात ने रोने न दिया
वर्ना क्या बात थी किस बात ने रोने न दिया
आप कहते थे कि रोने से न बदलेंगे नसीब
उम्र भर आप की इस बात ने रोने न दिया
रोने वालों से कहो उन का भी रोना रो लें
जिन को मजबूरी-ए-हालात ने रोने न दिया
तुझ से मिल कर हमें रोना था बहुत रोना था
तंगी-ए-वक़्त-ए-मुलाक़ात ने रोने न दिया
एक दो रोज़ का सदमा हो तो रो लें 'फ़ाकिर'
हम को हर रोज़ के सदमात ने रोने न दिया
ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
ishq meñ ġhairat-e-jazbāt ne rone na diyā
varna kyā baat thī kis baat ne rone na diyā
aap kahte the ki rone se na badleñge nasīb
umr bhar aap kī is baat ne rone na diyā
rone vāloñ se kaho un kā bhī ronā ro leñ
jin ko majbūri-e-hālāt ne rone na diyā
tujh se mil kar hameñ ronā thā bahut ronā thā
tañgi-e-vaqt-e-mulāqāt ne rone na diyā
ek do roz kā sadma ho to ro leñ 'fākir'
ham ko har roz ke sadmāt ne rone na diyā
ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya
warna kya baat thi kis baat ne rone na diya
aap kahte the ki rone se na badlenge nasib
umr bhar aap ki is baat ne rone na diya
rone walon se kaho un ka bhi rona ro len
jin ko majburi-e-haalat ne rone na diya
tujh se mil kar hamein rona tha bahut rona tha
tangi-e-waqt-e-mulaqat ne rone na diya
ek do roz ka sadma ho to ro len 'fakir'
hum ko har roz ke sadmat ne rone na diya
कुछ तो दुनिया की इनायात ने दिल तोड़ दिया सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
कुछ तो दुनिया की इनायात ने दिल तोड़ दिया
और कुछ तल्ख़ी-ए-हालात ने दिल तोड़ दिया
हम तो समझे थे के बरसात में बरसेगी शराब
आई बरसात तो बरसात ने दिल तोड़ दिया
दिल तो रोता रहे ओर आँख से आँसू न बहे
इश्क़ की ऐसी रिवायात ने दिल तोड़ दिया
वो मिरे हैं मुझे मिल जाएँगे आ जाएँगे
ऐसे बेकार ख़यालात ने दिल तोड़ दिया
आप को प्यार है मुझ से कि नहीं है मुझ से
जाने क्यूँ ऐसे सवालात ने दिल तोड़ दिया
kuchh to duniya ki inayat ne dil toD diya Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
kuchh to duniyā kī ināyāt ne dil toḌ diyā
aur kuchh talḳhī-e-hālāt ne dil toḌ diyā
ham to samjhe the ke barsāt meñ barsegī sharāb
aa.ī barsāt to barsāt ne dil toḌ diyā
dil to rotā rahe or aañkh se aañsū na bahe
ishq kī aisī rivāyāt ne dil toḌ diyā
vo mire haiñ mujhe mil jā.eñge aa jā.eñge
aise bekār ḳhayālāt ne dil toḌ diyā
aap ko pyaar hai mujh se ki nahīñ hai mujh se
jaane kyuuñ aise savālāt ne dil toḌ diyā
kuchh to duniya ki inayat ne dil toD diya
aur kuchh talKHi-e-haalat ne dil toD diya
hum to samjhe the ke barsat mein barsegi sharab
aai barsat to barsat ne dil toD diya
dil to rota rahe or aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi riwayat ne dil toD diya
wo mere hain mujhe mil jaenge aa jaenge
aise bekar KHayalat ne dil toD diya
aap ko pyar hai mujh se ki nahin hai mujh se
jaane kyun aise sawalat ne dil toD diya
सामने है जो उसे लोग बुरा कहते हैं सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
सामने है जो उसे लोग बुरा कहते हैं
जिस को देखा ही नहीं उस को ख़ुदा कहते हैं
ज़िंदगी को भी सिला कहते हैं कहने वाले
जीने वाले तो गुनाहों की सज़ा कहते हैं
फ़ासले उम्र के कुछ और बढ़ा देती है
जाने क्यूँ लोग उसे फिर भी दवा कहते हैं
चंद मासूम से पत्तों का लहू है 'फ़ाकिर'
जिस को महबूब की हाथों की हिना कहते हैं
samne hai jo use log bura kahte hain Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
sāmne hai jo use log burā kahte haiñ
jis ko dekhā hī nahīñ us ko ḳhudā kahte haiñ
zindagī ko bhī sila kahte haiñ kahne vaale
jiine vaale to gunāhoñ kī sazā kahte haiñ
fāsle umr ke kuchh aur baḌhā detī hai
jaane kyuuñ log use phir bhī davā kahte haiñ
chand ma.asūm se pattoñ kā lahū hai 'fākir'
jis ko mahbūb kī hāthoñ kī hinā kahte haiñ
samne hai jo use log bura kahte hain
jis ko dekha hi nahin us ko KHuda kahte hain
zindagi ko bhi sila kahte hain kahne wale
jine wale to gunahon ki saza kahte hain
fasle umr ke kuchh aur baDha deti hai
jaane kyun log use phir bhi dawa kahte hain
chand masum se patton ka lahu hai 'fakir'
jis ko mahbub ki hathon ki hina kahte hain
दिल के दीवार-ओ-दर पे क्या देखा सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
दिल के दीवार-ओ-दर पे क्या देखा
बस तिरा नाम ही लिखा देखा
तेरी आँखों में हम ने क्या देखा
कभी क़ातिल कभी ख़ुदा देखा
अपनी सूरत लगी पराई सी
जब कभी हम ने आईना देखा
हाए अंदाज़ तेरे रुकने का
वक़्त को भी रुका रुका देखा
तेरे जाने में और आने में
हम ने सदियों का फ़ासला देखा
फिर न आया ख़याल जन्नत का
जब तिरे घर का रास्ता देखा
dil ke diwar-o-dar pe kya dekha Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
dil ke dīvār-o-dar pe kyā dekhā
bas tirā naam hī likhā dekhā
terī āñkhoñ meñ ham ne kyā dekhā
kabhī qātil kabhī ḳhudā dekhā
apnī sūrat lagī parā.ī sī
jab kabhī ham ne ā.īna dekhā
haa.e andāz tere rukne kā
vaqt ko bhī rukā rukā dekhā
tere jaane meñ aur aane meñ
ham ne sadiyoñ kā fāsla dekhā
phir na aayā ḳhayāl jannat kā
jab tire ghar kā rāsta dekhā
dil ke diwar-o-dar pe kya dekha
bas tera nam hi likha dekha
teri aankhon mein hum ne kya dekha
kabhi qatil kabhi KHuda dekha
apni surat lagi parai si
jab kabhi hum ne aaina dekha
hae andaz tere rukne ka
waqt ko bhi ruka ruka dekha
tere jaane mein aur aane mein
hum ne sadiyon ka fasla dekha
phir na aaya KHayal jannat ka
jab tere ghar ka rasta dekha
अगर हम कहें और वो मुस्कुरा दें सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
अगर हम कहें और वो मुस्कुरा दें
हम उन के लिए ज़िंदगानी लुटा दें
हर इक मोड़ पर हम ग़मों को सज़ा दें
चलो ज़िंदगी को मोहब्बत बना दें
अगर ख़ुद को भूले तो कुछ भी न भूले
कि चाहत में उन की ख़ुदा को भुला दें
कभी ग़म की आँधी जिन्हें छू न पाए
वफ़ाओं के हम वो नशेमन बना दें
क़यामत के दीवाने कहते हैं हम से
चलो उन के चेहरे से पर्दा हटा दें
सज़ा दें सिला दें बना दें मिटा दें
मगर वो कोई फ़ैसला तो सुना दें
agar hum kahen aur wo muskura den Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
agar ham kaheñ aur vo muskurā deñ
ham un ke liye zindagānī luTā deñ
har ik moḌ par ham ġhamoñ ko sazā deñ
chalo zindagī ko mohabbat banā deñ
agar ḳhud ko bhūle to kuchh bhī na bhūle
ki chāhat meñ un kī ḳhudā ko bhulā deñ
kabhī ġham kī āñdhī jinheñ chhū na paa.e
vafāoñ ke ham vo nasheman banā deñ
qayāmat ke dīvāne kahte haiñ ham se
chalo un ke chehre se parda haTā deñ
sazā deñ sila deñ banā deñ miTā deñ
magar vo koī faisla to sunā deñ
agar hum kahen aur wo muskura den
hum un ke liye zindagani luTa den
har ek moD par hum ghamon ko saza den
chalo zindagi ko mohabbat bana den
agar KHud ko bhule to kuchh bhi na bhule
ki chahat mein un ki KHuda ko bhula den
kabhi gham ki aandhi jinhen chhu na pae
wafaon ke hum wo nasheman bana den
qayamat ke diwane kahte hain hum se
chalo un ke chehre se parda haTa den
saza den sila den bana den miTa den
magar wo koi faisla to suna den
मेरे दुख की कोई दवा न करो सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
मेरे दुख की कोई दवा न करो
मुझ को मुझ से अभी जुदा न करो
नाख़ुदा को ख़ुदा कहा है तो फिर
डूब जाओ ख़ुदा ख़ुदा न करो
ये सिखाया है दोस्ती ने हमें
दोस्त बन कर कभी वफ़ा न करो
इश्क़ है इश्क़ ये मज़ाक़ नहीं
चंद लम्हों में फ़ैसला न करो
आशिक़ी हो कि बंदगी 'फ़ाकिर'
बे-दिली से तो इब्तिदा न करो
mere dukh ki koi dawa na karo Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
mere dukh kī koī davā na karo
mujh ko mujh se abhī judā na karo
nāḳhudā ko ḳhudā kahā hai to phir
Duub jaao ḳhudā ḳhudā na karo
ye sikhāyā hai dostī ne hameñ
dost ban kar kabhī vafā na karo
ishq hai ishq ye mazāq nahīñ
chand lamhoñ meñ faisla na karo
āshiqī ho ki bandagī 'fākir'
be-dilī se to ibtidā na karo
mere dukh ki koi dawa na karo
mujh ko mujh se abhi juda na karo
naKHuda ko KHuda kaha hai to phir
Dub jao KHuda KHuda na karo
ye sikhaya hai dosti ne hamein
dost ban kar kabhi wafa na karo
ishq hai ishq ye mazaq nahin
chand lamhon mein faisla na karo
aashiqi ho ki bandagi 'fakir'
be-dili se to ibtida na karo
अहल-ए-उल्फ़त के हवालों पे हँसी आती है सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
अहल-ए-उल्फ़त के हवालों पे हँसी आती है
लैला मजनूँ की मिसालों पे हँसी आती है
जब भी तकमील-ए-मोहब्बत का ख़याल आता है
मुझ को अपने ही ख़यालों पे हँसी आती है
लोग अपने लिए औरों में वफ़ा ढूँडते हैं
उन वफ़ा ढूँडने वालों पे हँसी आती है
देखने वालो तबस्सुम को करम मत समझो
उन्हें तो देखने वालों पे हँसी आती है
चाँदनी रात मोहब्बत में हसीं थी 'फ़ाकिर'
अब तो बीमार उजालों पे हँसी आती है
ahl-e-ulfat ke hawalon pe hansi aati hai Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
ahl-e-ulfat ke havāloñ pe hañsī aatī hai
lailā majnūñ kī misāloñ pe hañsī aatī hai
jab bhī takmīl-e-mohabbat kā ḳhayāl aatā hai
mujh ko apne hī ḳhayāloñ pe hañsī aatī hai
log apne liye auroñ meñ vafā DhūñDte haiñ
un vafā DhūñDne vāloñ pe hañsī aatī hai
dekhne vaalo tabassum ko karam mat samjho
unheñ to dekhne vāloñ pe hañsī aatī hai
chāñdnī raat mohabbat meñ hasīñ thī 'fākir'
ab to bīmār ujāloñ pe hañsī aatī hai
ahl-e-ulfat ke hawalon pe hansi aati hai
laila majnun ki misalon pe hansi aati hai
jab bhi takmil-e-mohabbat ka KHayal aata hai
mujh ko apne hi KHayalon pe hansi aati hai
log apne liye auron mein wafa DhunDte hain
un wafa DhunDne walon pe hansi aati hai
dekhne walo tabassum ko karam mat samjho
unhen to dekhne walon pe hansi aati hai
chandni raat mohabbat mein hasin thi 'fakir'
ab to bimar ujalon pe hansi aati hai
किसी रंजिश को हवा दो कि मैं ज़िंदा हूँ अभी सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
किसी रंजिश को हवा दो कि मैं ज़िंदा हूँ अभी
मुझ को एहसास दिला दो कि मैं ज़िंदा हूँ अभी
मेरे रुकते ही मिरी साँसें भी रुक जाएँगी
फ़ासले और बढ़ा दो कि मैं ज़िंदा हूँ अभी
ज़हर पीने की तो आदत थी ज़माने वालो
अब कोई और दवा दो कि मैं ज़िंदा हूँ अभी
चलती राहों में यूँही आँख लगी है 'फ़ाकिर'
भीड़ लोगों की हटा दो कि मैं ज़िंदा हूँ अभी
kisi ranjish ko hawa do ki main zinda hun abhi Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
kisī ranjish ko havā do ki maiñ zinda huuñ abhī
mujh ko ehsās dilā do ki maiñ zinda huuñ abhī
mere rukte hī mirī sāñseñ bhī ruk jā.eñgī
fāsle aur baḌhā do ki maiñ zinda huuñ abhī
zahr piine kī to aadat thī zamāne vaalo
ab koī aur davā do ki maiñ zinda huuñ abhī
chaltī rāhoñ meñ yūñhī aañkh lagī hai 'fākir'
bhiiḌ logoñ kī haTā do ki maiñ zinda huuñ abhī
kisi ranjish ko hawa do ki main zinda hun abhi
mujh ko ehsas dila do ki main zinda hun abhi
mere rukte hi meri sansen bhi ruk jaengi
fasle aur baDha do ki main zinda hun abhi
zahr pine ki to aadat thi zamane walo
ab koi aur dawa do ki main zinda hun abhi
chalti rahon mein yunhi aankh lagi hai 'fakir'
bhiD logon ki haTa do ki main zinda hun abhi
पत्थर के ख़ुदा पत्थर के सनम पत्थर के ही इंसाँ पाए हैं सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
पत्थर के ख़ुदा पत्थर के सनम पत्थर के ही इंसाँ पाए हैं
तुम शहर-ए-मोहब्बत कहते हो हम जान बचा कर आए हैं
बुत-ख़ाना समझते हो जिस को पूछो न वहाँ क्या हालत है
हम लोग वहीं से लौटे हैं बस शुक्र करो लौट आए हैं
हम सोच रहे हैं मुद्दत से अब उम्र गुज़ारें भी तो कहाँ
सहरा में ख़ुशी के फूल नहीं शहरों में ग़मों के साए हैं
होंटों पे तबस्सुम हल्का सा आँखों में नमी सी है 'फ़ाकिर'
हम अहल-ए-मोहब्बत पर अक्सर ऐसे भी ज़माने आए हैं
patthar ke KHuda patthar ke sanam patthar ke hi insan pae hain Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
patthar ke ḳhudā patthar ke sanam patthar ke hī insāñ paa.e haiñ
tum shahr-e-mohabbat kahte ho ham jaan bachā kar aa.e haiñ
but-ḳhāna samajhte ho jis ko pūchho na vahāñ kyā hālat hai
ham log vahīñ se lauTe haiñ bas shukr karo lauT aa.e haiñ
ham soch rahe haiñ muddat se ab umr guzāreñ bhī to kahāñ
sahrā meñ ḳhushī ke phuul nahīñ shahroñ meñ ġhamoñ ke saa.e haiñ
hoñToñ pe tabassum halkā sā āñkhoñ meñ namī sī hai 'fākir'
ham ahl-e-mohabbat par aksar aise bhī zamāne aa.e haiñ
patthar ke KHuda patthar ke sanam patthar ke hi insan pae hain
tum shahr-e-mohabbat kahte ho hum jaan bacha kar aae hain
but-KHana samajhte ho jis ko puchho na wahan kya haalat hai
hum log wahin se lauTe hain bas shukr karo lauT aae hain
hum soch rahe hain muddat se ab umr guzaren bhi to kahan
sahra mein KHushi ke phul nahin shahron mein ghamon ke sae hain
honTon pe tabassum halka sa aankhon mein nami si hai 'fakir'
hum ahl-e-mohabbat par aksar aise bhi zamane aae hain
शायद मैं ज़िंदगी की सहर ले के आ गया सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
शायद मैं ज़िंदगी की सहर ले के आ गया
क़ातिल को आज अपने ही घर ले के आ गया
ता-उम्र ढूँढता रहा मंज़िल मैं इश्क़ की
अंजाम ये कि गर्द-ए-सफ़र ले के आ गया
नश्तर है मेरे हाथ में काँधों पे मय-कदा
लो मैं इलाज-ए-दर्द-ए-जिगर ले के आ गया
फ़ाकिर' सनम-कदे में न आता मैं लौट कर
इक ज़ख़्म भर गया था इधर ले के आ गया
shayad main zindagi ki sahar le ke aa gaya Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
shāyad maiñ zindagī kī sahar le ke aa gayā
qātil ko aaj apne hī ghar le ke aa gayā
tā-umr DhūñDhtā rahā manzil maiñ ishq kī
anjām ye ki gard-e-safar le ke aa gayā
nashtar hai mere haath meñ kāñdhoñ pe mai-kada
lo maiñ ilāj-e-dard-e-jigar le ke aa gayā
fākir' sanam-kade meñ na aatā maiñ lauT kar
ik zaḳhm bhar gayā thā idhar le ke aa gayā
shayad main zindagi ki sahar le ke aa gaya
qatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya
ta-umr DhunDhta raha manzil main ishq ki
anjam ye ki gard-e-safar le ke aa gaya
nashtar hai mere hath mein kandhon pe mai-kada
lo main ilaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya
fakir' sanam-kade mein na aata main lauT kar
ek zaKHm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya
फ़लसफ़े इश्क़ में पेश आए सवालों की तरह सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
फ़लसफ़े इश्क़ में पेश आए सवालों की तरह
हम परेशाँ ही रहे अपने ख़यालों की तरह
शीशागर बैठे रहे ज़िक्र-ए-मसीहा ले कर
और हम टूट गए काँच के प्यालों की तरह
जब भी अंजाम-ए-मोहब्बत ने पुकारा ख़ुद को
वक़्त ने पेश किया हम को मिसालों की तरह
ज़िक्र जब होगा मोहब्बत में तबाही का कहीं
याद हम आएँगे दुनिया को हवालों की तरह
falsafe ishq mein pesh aae sawalon ki tarah Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
falsafe ishq meñ pesh aa.e savāloñ kī tarah
ham pareshāñ hī rahe apne ḳhayāloñ kī tarah
shīshagar baiThe rahe zikr-e-masīhā le kar
aur ham TuuT ga.e kāñch ke pyāloñ kī tarah
jab bhī anjām-e-mohabbat ne pukārā ḳhud ko
vaqt ne pesh kiyā ham ko misāloñ kī tarah
zikr jab hogā mohabbat meñ tabāhī kā kahīñ
yaad ham ā.eñge duniyā ko havāloñ kī tarah
falsafe ishq mein pesh aae sawalon ki tarah
hum pareshan hi rahe apne KHayalon ki tarah
shishagar baiThe rahe zikr-e-masiha le kar
aur hum TuT gae kanch ke pyalon ki tarah
jab bhi anjam-e-mohabbat ne pukara KHud ko
waqt ne pesh kiya hum ko misalon ki tarah
zikr jab hoga mohabbat mein tabahi ka kahin
yaad hum aaenge duniya ko hawalon ki tarah
ज़िंदगी तुझ को जिया है कोई अफ़्सोस नहीं सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
ज़िंदगी तुझ को जिया है कोई अफ़्सोस नहीं
ज़हर ख़ुद मैं ने पिया है कोई अफ़्सोस नहीं
मैं ने मुजरिम को भी मुजरिम न कहा दुनिया में
बस यही जुर्म किया है कोई अफ़्सोस नहीं
मेरी क़िस्मत में लिखे थे ये उन्हीं के आँसू
दिल के ज़ख़्मों को सिया है कोई अफ़्सोस नहीं
अब गिरे संग कि शीशों की हो बारिश 'फ़ाकिर'
अब कफ़न ओढ़ लिया है कोई अफ़्सोस नहीं
zindagi tujhko jiya hai koi afsos nahin Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
zindagī tujh ko jiyā hai koī afsos nahīñ
zahr ḳhud maiñ ne piyā hai koī afsos nahīñ
maiñ ne mujrim ko bhī mujrim na kahā duniyā meñ
bas yahī jurm kiyā hai koī afsos nahīñ
merī qismat meñ likhe the ye unhīñ ke aañsū
dil ke zaḳhmoñ ko siyā hai koī afsos nahīñ
ab gire sañg ki shīshoñ kī ho bārish 'fākir'
ab kafan oḌh liyā hai koī afsos nahīñ
zindagi tujh ko jiya hai koi afsos nahin
zahr KHud main ne piya hai koi afsos nahin
main ne mujrim ko bhi mujrim na kaha duniya mein
bas yahi jurm kiya hai koi afsos nahin
meri qismat mein likhe the ye unhin ke aansu
dil ke zaKHmon ko siya hai koi afsos nahin
ab gire sang ki shishon ki ho barish 'fakir'
ab kafan oDh liya hai koi afsos nahin
उल्फ़त का जब किसी ने लिया नाम रो पड़े सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
उल्फ़त का जब किसी ने लिया नाम रो पड़े
अपनी वफ़ा का सोच के अंजाम रो पड़े
हर शाम ये सवाल मोहब्बत से क्या मिला
हर शाम ये जवाब कि हर शाम रो पड़े
राह-ए-वफ़ा में हम को ख़ुशी की तलाश थी
दो गाम ही चले थे कि हर गाम रो पड़े
रोना नसीब में है तो औरों से क्या गिला
अपने ही सर लिया कोई इल्ज़ाम रो पड़े
ulfat ka jab kisi ne liya nam ro paDe Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
ulfat kā jab kisī ne liyā naam ro paḌe
apnī vafā kā soch ke anjām ro paḌe
har shaam ye savāl mohabbat se kyā milā
har shaam ye javāb ki har shaam ro paḌe
rāh-e-vafā meñ ham ko ḳhushī kī talāsh thī
do gaam hī chale the ki har gaam ro paḌe
ronā nasīb meñ hai to auroñ se kyā gila
apne hī sar liyā koī ilzām ro paḌe
ulfat ka jab kisi ne liya nam ro paDe
apni wafa ka soch ke anjam ro paDe
har sham ye sawal mohabbat se kya mila
har sham ye jawab ki har sham ro paDe
rah-e-wafa mein hum ko KHushi ki talash thi
do gam hi chale the ki har gam ro paDe
rona nasib mein hai to auron se kya gila
apne hi sar liya koi ilzam ro paDe
ब्लॉग पर अन्य शायर / ग़ज़लकार / ग़ज़लें
मिरी ज़बाँ से मिरी दास्ताँ सुनो तो सही सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
मिरी ज़बाँ से मिरी दास्ताँ सुनो तो सही
यक़ीं करो न करो मेहरबाँ सुनो तो सही
चलो ये मान लिया मुजरिम-ए-मोहब्बत हैं
हमारे जुर्म का हम से बयाँ सुनो तो सही
बनोगे दोस्त मिरे तुम भी दुश्मनो इक दिन
मिरी हयात की आह-ओ-फ़ुग़ाँ सुनो तो सही
लबों को सी के जो बैठे हैं बज़्म-ए-दुनिया में
कभी तो उन की भी ख़ामोशियाँ सुनो तो सही
meri zaban se meri dastan suno to sahi Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
mirī zabāñ se mirī dāstāñ suno to sahī
yaqīñ karo na karo mehrbāñ suno to sahī
chalo ye maan liyā mujrim-e-mohabbat haiñ
hamāre jurm kā ham se bayāñ suno to sahī
banoge dost mire tum bhī dushmano ik din
mirī hayāt kī āh-o-fuġhāñ suno to sahī
laboñ ko sī ke jo baiThe haiñ bazm-e-duniyā meñ
kabhī to un kī bhī ḳhāmoshiyāñ suno to sahī
meri zaban se meri dastan suno to sahi
yaqin karo na karo mehrban suno to sahi
chalo ye man liya mujrim-e-mohabbat hain
hamare jurm ka hum se bayan suno to sahi
banoge dost mere tum bhi dushmano ek din
meri hayat ki aah-o-fughan suno to sahi
labon ko si ke jo baiThe hain bazm-e-duniya mein
kabhi to un ki bhi KHamoshiyan suno to sahi
दुनिया से वफ़ा कर के सिला ढूँढ रहे हैं सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
दुनिया से वफ़ा कर के सिला ढूँढ रहे हैं
हम लोग भी नादाँ हैं ये क्या ढूँढ रहे हैं
कुछ देर ठहर जाइए ऐ बंदा-ए-इंसाफ़
हम अपने गुनाहों में ख़ता ढूँढ रहे हैं
ये भी तो सज़ा है कि गिरफ़्तार-ए-वफ़ा हूँ
क्यूँ लोग मोहब्बत की सज़ा ढूँढ रहे हैं
दुनिया की तमन्ना थी कभी हम को भी 'फ़ाकिर'
अब ज़ख़्म-ए-तमन्ना की दवा ढूँढ रहे हैं
duniya se wafa kar ke sila DhunDh rahe hain Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
duniyā se vafā kar ke sila DhūñDh rahe haiñ
ham log bhī nādāñ haiñ ye kyā DhūñDh rahe haiñ
kuchh der Thahar jā.iye ai banda-e-insāf
ham apne gunāhoñ meñ ḳhatā DhūñDh rahe haiñ
ye bhī to sazā hai ki giraftār-e-vafā huuñ
kyuuñ log mohabbat kī sazā DhūñDh rahe haiñ
duniyā kī tamannā thī kabhī ham ko bhī 'fākir'
ab zaḳhm-e-tamannā kī davā DhūñDh rahe haiñ
duniya se wafa kar ke sila DhunDh rahe hain
hum log bhi nadan hain ye kya DhunDh rahe hain
kuchh der Thahar jaiye ai banda-e-insaf
hum apne gunahon mein KHata DhunDh rahe hain
ye bhi to saza hai ki giraftar-e-wafa hun
kyun log mohabbat ki saza DhunDh rahe hain
duniya ki tamanna thi kabhi hum ko bhi 'fakir'
ab zaKHm-e-tamanna ki dawa DhunDh rahe hain
तुम न घबराओ मिरे ज़ख़्म-ए-जिगर को देख कर सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
तुम न घबराओ मिरे ज़ख़्म-ए-जिगर को देख कर
मैं न मर जाऊँ तुम्हारी चश्म-ए-तर को देख कर
ज़ख़्म ताज़ा कर रहा हूँ चारागर को देख कर
रास्ता मैं ने बदल डाला ख़िज़र को देख कर
ज़िंदगानी इक फ़रेब-ए-दाइमी है सर-ब-सर
मुझ पे ये ज़ाहिर हुआ शाम-ओ-सहर को देख कर
गरचे उन से कोई उम्मीद-ए-वफ़ा मुझ को नहीं
जी बहल जाता है फिर भी नामा-बर को देख कर
आज इंसाँ से है इंसाँ बरसर-ए-पैकार यूँ
अल-अमाँ शैताँ पढ़े ख़ू-ए-बशर को देख कर
आदमी में आदमियत का निशाँ बाक़ी नहीं
बेच डाला इस ने ईमाँ सीम-ओ-ज़र को देख कर
आसमाँ तक तो हम ऐ 'रिफ़अत' रहे गर्म-ए-ख़िराम
उस से आगे चल न पाए राहबर को देख कर
tum na ghabrao mere zaKHm-e-jigar ko dekh kar Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
tum na ghabrāo mire zaḳhm-e-jigar ko dekh kar
maiñ na mar jā.ūñ tumhārī chashm-e-tar ko dekh kar
zaḳhm taaza kar rahā huuñ chāragar ko dekh kar
rāsta maiñ ne badal Daalā ḳhizar ko dekh kar
zindagānī ik fareb-e-dā.imī hai sar-ba-sar
mujh pe ye zāhir huā shām-o-sahar ko dekh kar
garche un se koī ummīd-e-vafā mujh ko nahīñ
jī bahal jaatā hai phir bhī nāma-bar ko dekh kar
aaj insāñ se hai insāñ barsar-e-paikār yuuñ
al-amāñ shaitāñ paḌhe ḳhū-e-bashar ko dekh kar
aadmī meñ ādmiyyat kā nishāñ baaqī nahīñ
bech Daalā is ne īmāñ sīm-o-zar ko dekh kar
āsmāñ tak to ham ai 'rif.at' rahe garm-e-ḳhirām
us se aage chal na paa.e rāhbar ko dekh kar
tum na ghabrao mere zaKHm-e-jigar ko dekh kar
main na mar jaun tumhaari chashm-e-tar ko dekh kar
zaKHm taza kar raha hun chaaragar ko dekh kar
rasta main ne badal Dala KHizar ko dekh kar
zindagani ek fareb-e-daimi hai sar-ba-sar
mujh pe ye zahir hua sham-o-sahar ko dekh kar
garche un se koi ummid-e-wafa mujh ko nahin
ji bahal jata hai phir bhi nama-bar ko dekh kar
aaj insan se hai insan barsar-e-paikar yun
al-aman shaitan paDhe KHu-e-bashar ko dekh kar
aadmi mein aadmiyyat ka nishan baqi nahin
bech Dala is ne iman sim-o-zar ko dekh kar
aasman tak to hum ai 'rifat' rahe garm-e-KHiram
us se aage chal na pae rahbar ko dekh kar
चराग़-ओ-आफ़ताब गुम बड़ी हसीन रात थी सुदर्शन फ़ाकिर ग़ज़ल / ग़ज़लें
चराग़-ओ-आफ़ताब गुम बड़ी हसीन रात थी
शबाब की नक़ाब गुम बड़ी हसीन रात थी
मुझे पिला रहे थे वो कि ख़ुद ही शम' बुझ गई
गिलास गुम शराब गुम बड़ी हसीन रात थी
लिखा था जिस किताब में कि 'इश्क़ तो हराम है
हुई वही किताब गुम बड़ी हसीन रात थी
लबों से लब जो मिल गए लबों से लब ही सिल गए
सवाल गुम जवाब गुम बड़ी हसीन रात थी
charagh-o-aftab gum baDi hasin raat thi Sudarshan Faakir Ghazal / Ghazals
charāġh-o-āftāb gum baḌī hasīn raat thī
shabāb kī naqāb gum baḌī hasīn raat thī
mujhe pilā rahe the vo ki ḳhud hī sham' bujh ga.ī
gilās gum sharāb gum baḌī hasīn raat thī
likhā thā jis kitāb meñ ki 'ishq to harām hai
huī vahī kitāb gum baḌī hasīn raat thī
laboñ se lab jo mil ga.e laboñ se lab hī sil ga.e
savāl gum javāb gum baḌī hasīn raat thī
charagh-o-aftab gum baDi hasin raat thi
shabab ki naqab gum baDi hasin raat thi
mujhe pila rahe the wo ki KHud hi sham' bujh gai
gilas gum sharab gum baDi hasin raat thi
likha tha jis kitab mein ki 'ishq to haram hai
hui wahi kitab gum baDi hasin raat thi
labon se lab jo mil gae labon se lab hi sil gae
sawal gum jawab gum baDi hasin raat thi
Comments
Post a Comment